Sunday, 1 April 2012

..

Na jaaney kabse hai tanhaiyaan,
hai samandar gehra,
ya gehri hai ruswaiyaan?

Hai badnaseeb woh jo tarse do boondh paani ko,
Ya badnaseeb woh jo banyaan na kar sakey apni kahaani ko?..

Hai aasmaan ooncha,
Ya oonchi hai aas?
Chohti hai boondein aur bari hai pyaas!

Bhadka hai sooraj,
Ya bhatki baadlon ki pukaar?
Mehangay hai panchi,
ya mehangi unki talaash?

Hai patthar bhaari,
keh toh dia!!
Par kya lehron ne ussey tanhaa chor na dia?
Thi taakat itni ki mera ghar tor gai,
Par kya thi kamzor itni ki woh patthar akela chor gai?!!

Hai sapney rootthey,
Ya rootthi sapno ki mitthaas?

Wo duniya bari jis mei sab ho saath,
Ya wo duniya bari jis mei hu mai gumm, hu behaal?..

Gaurja



3 comments: